Android Phone Heat Kyun Hota Hai ? Smartphone Ko Garam Hone Se Kaise Bachaye

Hello guys aaj ka hamara topic hai ki android phone aaj hum baate karenge ki android phone heat kyun hota hai aur isko heat hone se kaise bachaye. Doston android phone ka heat hona ek bahut badhi problem hai isse aapko bhi nuksan hoga aur aapka phone bhi jaldi hi bekaar ho jaayega isliye isko jald hi solve kar lena chahiye.

android phone ko heat hone se kaise roke

Waise aajkal log apne phone ko itna jyada use kar rahe hain ki unka phone heat hone lagta hai lekin kayi baar aisa hota hai ki hamara phone kuch jyada hi heat karne lagta hai aur hange karne lagta hai aur kabhi – kabhi toh swith off ho jaata hai doston aaj me aapko is problem ka solution batane ke liye aaya hun aaj me aapko bataunga ki aakhir kyun android phone garam padhta hai aur isse kaise bache.

Doston aap example ke liye koi bhi machine ko le lo sabhi ko use karne par garam padhte dekha hoga lekin machines ko cool karne ke liye cooling fan aate hain jabki android mobile ke liye aisa kuch nahin hai isliye aaj me aapke liye kuch tips lekar aaya hun jinhe follow karke aap apne phone ko heat hone se rok sakte hain aapka phone hamesha cool rahega.

Read Also – 5 Best Backlink Checker Tools

Android Phone Heating Kyun Karta Hai

Doston aapke phone me aap hi kuch aisa karte hain jiski wajah se aapke phone me heating problem aati hai ye problem sabhi phones me aati hai chahe woh badha ho chahe chota lekin aaiyye jaante hain ki android phone garam kyun padhta hai.

Smartphone Garam Padhne Ke Karan

Doston kisi bhi cheej ko use karo woh garam jaroor padhti hai aise hi kisi bhi android phone ko le lo sabhi garam padhte hain lekin garam padhne ke bhi bahut se reasons hote hain aaiyye jaante hain.

1.Charging – Doston Android phone heat hone ka ye sabse badha reason hai kyunki aajkal log jyadatar android phone ko charge par lagakar use karte hain kyunki android phone ki battery 3 ghante hi ruk paati hai doston heat hone ke saath – saath agar aap charge par lagakar apne phone ko use karenge toh aapka phone blast bhi ho sakta hai jisse aapko bahut nuksan pahunchega isliye me aapko suggest karunga ki apne phone ko kabhi charge par lagakar use na kare.

2.Phone Brightness – Agar aap apne phone ki brightness jyada der tak high rakhenge toh aapke phone ki battery toh low hogi hi saath me aapka phone bhi garam padh jaayega.

3.Open Backgroud Apps – Doston hum android phone me bahut se apps use karte hain lekin usko close karke backgroud clean nahin karte hain jiski wajah se hamara phone heat hone lagta hai.

4.Network Problem – Doston jis android phone me network ki problem hoti hai woh phone hamesha garam padha rahta hai.

5.Wi Fi & Hotspot – Doston agar aap apne phone ka wi fi & hotspot jyada der tak use karoge tab bhi aapka phone bahut heat karega doston ye problem se koi dikkat nahin hai kyunki ye problem sabhi phone me aati hai.

Read Also – Kisi Ka Bhi Wi Fi Password Hack Kaise Kare

Smartphone Ko Heat Hone Se Kaise Bachaye

Doston upar maine aapko bataya ki android phone heat kyun hota hai lekin ab me aapko iska solution bataunga ab me aapko bataunga ki android phone ko heat hone se kaise bachaye.

1.Charging – Agar aap apne phone ko charge par lagakar use karte hain toh aisa karna band kar de aapka phone garam padhna band kar dega.

2.Over Phone Brightness – Aap apne phone ki brightness hamesha low rakhe sirf jaroorat par hi high kare isse bhi aapka phone kabhi garam nahin padhega.

3.Open Background Apps – Agar aap apne phone me apps use karte hain toh jaise hi app close kiya kare uska backgroud ka sab clean kar diya kare isse bhi aapka phone garam hone se bacha rahega.

4.Network Problem – Apne phone ka network ki dikkat ko theek karwaye phir aapka phone heat nahin karega.

5.Wi Fi & Hotspot – Doston wi fi use karne se phone bahut garam padhta hai isliye wi fi ka use kam kare.

6.Cleaner – Doston apne phone ko daily clean karte rahe kyunki phone use karne se usme junk files aa jaati hai jinko clean na karne se phone heat hota hai(Play store par ek app hai clean master usse aap junk files remove kar sakte hain).

Read Also – Apne Naam Ki Ringtone Kaise Banaye/Download Kare

Toh doston agar aapko hamari ye post pasand aaye toh plz share kare aur comment karke bataye ki aapko ye post kaisi lagi.

Ummid karta hun ki aapko hamara ye article accha laga hoga kyunki iske jariye aap apne phone ko heat hone se rok paayenge.

hindimegyaan

Leave a Comment