Hello friends Aaj ke is article me aapko 10 aise android apps ke baare me jaanne ko milega jinke baare me jaanne ke baad aap un apps ko jaroor use karna chahoge.Toh doston der kis baat ki agar aapke paas android smartphone hai toh aap is post ko poora read kare aur apne friends ko bhi share kare kyunki aapka ek share aapke friends ko bhi kuch naya seekhne ka mauka de deta hai.
Android mobile me jab tak kuch mazedaar aur knowledge ki apps install na ho tab tak android phone hone ka koi fayda nahin hota hai isliye agar aap apne phone se kuch seekhna chahte ho aur apne phone se timepass karna chahte ho toh mere bataye hue softwares ka use kariye.
Read Also – Blog Me Google Translate Widget Kaise Lagaye
Android Mobile Ke Liye 10 Best Application
Waise agar dakha jaaye toh playstore par ek se badhkar ek acchi applications hain lekin me jo apps aapko bataunga woh kuch jyada hi use ki jaati hain.
1.Chrome Remote Desktop
Chrome remote desktop india ka best application hai jo android phones me sabse jyada use kiya jaata hai.Ye application isliye use hota hai taaki aap kahi bhi kabhi bhi apne computer ya laptop ko apne phone se control kar sake.Is application ka use karke aap apne computer ko apne phone se connect kar sakte ho aur usko apne phone me full access control kar sakte ho.
Ex-Ye application un logon ke liye sabse best hai jo youtube par channel chalate hain toh agar aapka youtube channel hai aur aap kahin par ja rahe ho par aapko apne youtube channel par video upload karna hai toh aap is application ke jariye kahin apne mobile se laptop ko connect karke video upload kar sakte hain.
Toh doston Agar aap apne computer ko apne mobile se connect karna chahte ho toh Chrome remote desktop se accha application koi nahin milega isliye neeche diye gaye link par click karke aap isko download kar lijiye.
Download Chrome Remote Desktop
2.Macrodroid
Macrodroid app ko bahut kam log use karte hain kyunki jyada logon ko iske baare me pata bhi nahin par is application me bahut se features hain jaise agar aap apne phone ko full automatic karna chahte ho toh aap iska use kar sakte ho.
For Example – Is application ka kaam ye hota hai ki ye aapke phone ko full automatic bana deta hai jaise agar aap dark night me jaoge toh aapke phone me automatic flash light on ho jaayegi isi tarah bahut se aise kaam hain jo is app ko install karne se automatic ho jaate hain.
Download Macrodroid
3.Airdroid
Jaise ki maine aapko bataya tha ki apne computer ko phone se control karne ke liye Chrome remote desktop ka use kiya jaata hai usi tarah agar aap apne phone ko apne laptop se control karna chahte ho ya phir apne phone ko apne laptop se connect karke kuch work karna chahte ho toh aap is software ka use kar sakte ho.
Neeche me phone ki kuch cheejen batane wala hun jo aap apne computer se control kar sakte ho.
- Message
- Contact
- Videos
- Photos
- Applications
Mene ko cheejen aapko batayi aap sabhi ko apne computer par access kar sakte ho aur inke alawa aap apne phone ke sabhi function ko manage kar sakte ho.
4.AZ Screen Recorder
AZ Screen Recorder ke jariye aap apne phone par kiye gaye saare work ko record kar sakte ho.Android mobile ki screen record karne ka ye India ka sabse best application hai iski help se aap apne phone par kisi bhi kaam ko record kar sakte ho.India me jitne bhi Youtuber hain woh apne phone se related video record karne ke liye AZ Screen Recorder ka hi use karte hain.Mobile se related videos banane ke liye ye sabse best hai kyunki isme bahut se aise features hain jo dusre screen recorder me nahin hain isliye me aapko suggest karunga ki ek baar is application ko jaroor use kare.
5.Cam Scanner
Agar aap kisi office me work karte ho aur usme aap jyadatar file send karne ka kaam karna padhta hai toh aap is app ka use kar sakte hain kyunki is aap ke jariye aap kisi bhi file ko scan karke send kar sakte hain.
Is Application me optical character recorgnization ka features bhi hain jiske jariye aap kisi bhi image ya file ko scan karke usko text format me badal sakte ho aur agar us text me koi changing karna chahte ho toh woh bhi kar sakte ho.Waise toh bahut se scanner apps hain lekin iski scaning quality sabse best hai.
6.Google Translate
Google translate ek aisa way hai jiske jariye aap kisi bhi language ki kisi bhi language me convert kar sakte hain aur usko read kar sakte hain.Agar aapke paas smartphone hain toh aapko language problem se bahut hi easily chutkaara mil jaayega kyunki aap Google translate se language tarnslation kar sakte ho.Ab aapko kisi bhi dictionary ka use karne ki jaroorat nahin bas aap Google translate application ka use kariye kyunki isme sabhi language uplabdh hain.
7.Kinemaster
Pahle sirf computer ka use karke hi kisi bhi video ko edit kar sakte the lekin ab aap apne phone me android app install karke bahut hi acchi video bana sakte ho.Playstore par bahut se video editing apps hain lekin Kinemaster sabse best hai kyunki isme unlimited features hain isliye iske jariye aap bahut hi accha video edit kar sakte ho.
Neeche me kuch features batane wala hun jo Kinemaster application me uplabdh hain.
- Video par bahut se effect laga sakte ho jaise stickers,Images,Handwriting,video
- Har images ko alag-alag frame me laga sakte ho.
- edit karte waqt usko preview karke dekh sakte ho.
- Saturatation aur brightness apne hisaab se control kar sakte ho.
- Video clips ki speed bhi fix kar sakte ho.
- Sound ko bhi fade kar sakte ho.
- Kis clip par kitna volume rakhna hai ye set kar sakte ho.
- Transition effects laga sakte ho jaise 3d effects,fades,wipes etc.
- Har cheej ki alag-alag variety hain jinhe aap apne hisaab se use kar sakte ho.
Video ka background change karne ke liye aap Chrome key ka use kar sakte ho lekin agar aap apne phone se video ka background change karna chahte ho toh aapke liye kinemaster sabse best hai.
8.Truecaller
Agar aap kisi unknown phone number ki full information ke baare me pata karna chahte ho toh Truecaller sabse best option hai is application se aap kisi bhi unknown phone number ki full details nikaal sakte ho jaise–
- Number kiske naam se hai pata chal jaayega
- Number ki location bhi trace kar sakte ho.
- Number kis country ka hai pata kar sakte ho
- Contact information nikaal sakte hain.
Ye sirf information nikaalne ke liye hi nahin hai balki agar aapke phone par koi spam call aayegi toh ye aapko turant alert kar dega isliye doston isko use karke jaroor dekhe ye aapko bahut pasand aayega.
9.Share It
Agar aap apne phone se kisi file ko dusre phone me send karna chahte ho toh share it sabse best software hai kyunki isko aap kisi bhi android ya iOS me use kar sakte ho aur apne android phone se iphone mobile ko bhi connect kar sakte hain aur file transfer kar sakte hain.Waise toh playstore par aur bhi bahut se file tarnsfer karne ke software hain lekin unme se Share It sabse best hai kyunki iski transfer speed dusre software se jyada hai.
10.Smart Tools
Ye software sirf measurement karne ke liye hai isliye agar aap kisi bhi cheej ka measurement karna chahte ho toh is app ka use kar sakte ho isme kis kis cheej ka measurement kar sakte ho ye jaanne ke liye neeche pade—
- Distance Meter
- DB Meter
- Location
- Compass
- Battery Tester
- Magnetic Field Meter
- Aur bhi bahut se apps hain.
Toh doston kaisa laga aapko ye article jisme maine 10 android apps ke baare me bataya hai jo aapke bahut kaam aa sakte hain aap sabhi apps ko ek baar use karke jaroor dekhe.
Ye Bhi Pade—
Ummid karta hun ki aapko ye post bahut pasand aayegi plz is post ko share jaroor kare au comment me bataye ki aapko ye post kaisi lagi.
Badiya Post Hai
Nice post h