Doston aaj me aap logon ko ek bahut hi acchi jankaari dene wala hun jisse aap apne mobile ko new look de sakte ho aaj me aap logon ke saath 6 aise launcher share karne ja raha hun jinse aapka hang karna band kar dega aur ek new look bhi aa jaayega.
Doston Android mobile ke bahut type ke version hote hain jaise maan lijiye ki agar aapke phone ka version kitkat hai aur aap apne phone ko lollipop version jaisi style me karna chahte ho toh aap ek acche launcher ka use kar sakte ho.Doston agar aap jaanna chahte ho ki aapke phone ka look behtar karne ke liye kaun sa launcher best rahega toh aap is article ko poora padhiye.
Android Mobile Ke Liye Top 6 Launcher
Doston me jo launcher aap logon ko batane wala hun ye 2017 ke sabse best launcher hain aur ye sabse jyada use kiye jaate hain sabse khaas baat toh ye hai ki me ye sabhi launcher use karke dekh chuka hun ye mere favourite launcher hain.
1.Nova Launcher
Nova launcher ek bahut hi accha launcher hai isko aap playstore se download kar sakte ho.croro log is launcher ko apne phone me use kar rahe hain kyunki isme bahut se aise features hain jo kam rate waale phones me nahin hote hain iska user rating bhi bahut accha hain 4.6.Doston me khud isko apne phone me use kar chuka hun agar aap bhi isko use karna chahte ho toh playsote se isko download kar sakte ho ya phir neeche diye gaye link se download kar sakte ho.
2.Hola Launcher
Hola launcher ek bahut hi simple aur bahut hi fast sa launcher hai iski ek khaas baat hai ki agar aap isko apne phone me use karoge toh aapka phone hang nahin hoga.Is launcher me bahut se aise features hain jo aur dusre launcher me nahin hain aur isko kaafi saare log use kar rahe hain ye playstore par uplabdh hai.Playstore par isko bahut hi accha user rating mila hua hai.
3.Go Launcher
Go Launcher bhi ek bahut hi accha free launcher app hai.Agar aap isko download karenge toh aapko iske saath-saath 1000 se bhi jyada themes free me download karne ko milengi aur is launcher ki ek aur khaas baat hai ki isme flipping effects aur 3d transitions bhi hain aur isme 15 se bhi jyada widgets hain jaise clock,calender,weather etc.
4.CM Launcher 3D
Agar aap apne phone ko bilkul 3d jaisa look dena chahte ho toh aap is launcher ko use kariye.Ye launcher sabse jyada use kiya jaata hai kyunki ye 3d hai aur isme features bhi bahuut acche hain.Agar aap bhi apne phone me isko use karna chahte ho toh neeche diye gaye link par click karke download kar sakte ho ye phir playstore se bhi download kar sakte ho.
5.Next Launcher 3D Shell Lite
Ye launcher bhi ek 3d launcher hai aap isko apne phone me install karke apne phone ko bilkul 3d jaisa look dekh sakte hain.Is app me 3d visual effects,screen switch animation,3d widgets aur bhi bahut saare fetaures hain.Is launcher ko bhi Go launcher ki team ne design kiya hai isliye isme bhi usi ke tarah bahut se fetaures hain isko aap playstore se download kar sakte ho ya phir neeche diye gaye link se bhi download kar sakte ho.
6.S8 Launcher Theme
Aapko itna toh maloom hi hoga ki samsung company me kuch din pahle ek phone launche kiya tha jiska naam s8 hai is phone ko samsung company ne bahut hi acche se design kiya tha aur iski price bhi bahut hi mehengi lekin agar aap apne phone ko bilkul S8 jaisa look dena chahte ho toh aap S8 launcher ko apne phone me install kar sakte ho.
Toh doston comment kare aur bataye ki aapko ye article kaisa laga plz isko share jaroor kare taaki aur log bhi jaan sake ki unke phone ke liye kaun sa launcher best rahega.
Ye Jaroor Pade–