What is Google Drive ? Hello guys aaj hum baat karenge Google drive ke baare me ki Google drive kya hai aur isme koi bhi file kaise upload karte hain. Waise toh aajkal ke new jamane ne log jyadatar apne data ko kisi pendrive ya memory card me save karke rakhte hain lekin sonchiye ki agar aapka woh pen drive crash ho jaaye toh aapka data khatam ho sakta hai isliye hume apna sabhi important data cloud storage par upload kar dena chahiye isse hamara ye fayda hota hai ki hamara data kabhi khatam nahin hota hai hum usko kabhi bhi kahin bhi download karke use kar sakte hain. Cloud storage par hum apni sabhi tarah ki files upload kar sakte hain jaise ki files. videos, photos, Docouments etc.
Pen drive me data rakhne se hamara data khatam hone ki bhi darr rahta hai aur usko use karne ke liye hamesha laptop ki bhi jaroorat padhti hai lekin agar aapka data cloud storage par hoga toh aap usko kabhi bhi apne phone me download karke use kar sakte ho. Internet par cloud storage ke bahut se platform hai jaise ki Google drive, Dropbox, Box, One drive, Yandex drive aur bhi bahut se hain. Aaj hum sirf Google drive ke baare me batayenge ki yahan par apna data kaise upload karte hain kyunki ye sabse jyada use kiya jaata hai.
Read Also – MX Player Ko Mp3, Audio Player Kaise Banaye
Table Of Contents
Google Drive Kya Hai ?
Google Drive ek online cloud storage service hai jo Google ne bahut dinon pahle launch ki thi yahan par hum apna 15 gb tak ka data upload karke save kar sakte hain. Yahan par agar aap free me data save karna chahte hain toh sirf 15 gb kar sakte hain lekin agar aap isse jyada data save karna chahte hain toh aapko paise kharch karne honge waise dekha jaaye toh 15 gb bahut hai.
Google drive ko hum computer aur mobile dono me use kar sakte hain Google ne toh iske apps bhi launch kar diye hain jo computer aur mobile dono ke liye available hai. Google drive ko use karne ke liye ek gmail account ki jaroorat padhti hai.
Google drive par bahut tarah ki files upload kar sakte hain jaisi documents, videos, images, aur bhi bahut kuch aur iski khaas baat hai iski security ye bahut hi accha platform hai ispar save karne ke baad aapka data ko koi khatra nahin rahega kyunki ye google ki service hai.
Ek baar jo aapne Google drive par data upload kar diya toh aap apne data ko world me kahin bhi jaakar usko download karke use kar sakte ho. Ispar aap sabkuch bahut hi easily upload kar sakte ho aur download bhi easily kar sakte ho.
Read Also – Bitcoin Kya Hai Aur Isse Paise Kaise Kamaye
Google Drive Me Files Upload Kaise Kare ?
Doston Google drive me files upload karne ke liye aapko uspar account nahin banana padhega sirf aapko google ki ek website par jaana hai aaiye me aapko le chalta hun.
1. Sabse pahle aap Go to Google Drive par click kariye.
2. Ab aap Google drive website par enter ho jaoge.
3.Ab aapke saamne ek New ka button aa raha hun uspar click kare aur File upload par click karke apni file upload kar de.
Toh doston dekha aapne kitna easy hai Google drive me file upload karna. Google drive me aur bhi bahut se features hai jaise ki agar aap chaho toh yahan par apni alag-alag files ko new folder me save kar sakte ho aur bhi bahut kuch kar sakte ho.
Ye Bhi Pade —
- Android Smartphone Me Recycle Bin Feature Kaise Install Kare
- 50+ Best Facebook Stylish Name List
- Top 10 Blogging Apps For Pro Bloggers 2017
- Kisi Ka Bhi Wi Fi Password Hack Kaise Kare
- Kisi Ke Bhi Whatsapp Account Se Khud Ko Unblock Kaise Kare
Ummid hai aapko hamari ye post bahut pasand aayegi plz isko share kare aur comment me apni koi bhi problem bataye hum uska solution aapko jaroor batayenge.
Plz share —