Youtube Se Paise Kaise Kamaye Jaane In 5 Steps Me

Hello Guys,Hindimegyaan par aapka swagat hai.aaj me aapke liye paisa kamane ka ek aisa tareeka lekar aaya hun jo is time sabse jyada trending me chal raha hai aur bahut se log is tareeke se bahut acchi income bhi kar rahe hain.

Youtube se paise kaise kamaye

waise toh daily me aapko internet se earning karne ke new tareeke batata rahta hun lekin aaj me jo tareeka batane wala hun woh sabse best hai.Aaj me aap logon ko bataunga ki youtube se paise kaise kamate hain step by step-

Youtube ek aisa video search engine hai jispar daily unlimited videos upload ki jaati hai aur yahan par aap kisi bhi cheej ki jankaari video dekhkar le sakte hain chaliye pahle me aap logon ko ye bata deta hun ki Youtube par video upload kaun karta hai.

Youtube Par Video Kaun Upload Karta Hai

Doston itna toh aapko maloom hi hoga ki youtube par video upload karne wala koi bahut bada aadmi nahin hota balki woh bhi hamari hi tarah ek insaan hota hai jo ki youtube par video isliye upload karta hai taaki woh kuch paise kama sake aur famous bhi ho jaaye.

Hindi language me youtube par video upload karne waale ko Youtuber kahte hain.Doston youtube par video upload karna koi mushkil kaam nahin hai balki mujhe lagta hai ki isse jyada easy kaam toh koi ho hi nahin sakta lekin youtube videos banana bahut hard hota hai uke liye aap video editing aani chahiye hoti hai.Agar aapko video editing aati hai toh bas aap video banakar usko acche se edit karke youtube par upload karke bahut acchi income kar sakte hain aaiyye atep by step jaante hain.

Read Also – Blogging Se Paise Kamane Ke 5 Best Tareeke

Youtube Se Paise Kaise Kamate Hain

Youtube se lakhon log bahut acche paise kama rahe hain aap ye mat sonchiye ki ye sirf wahi log kar sakte hain doston agar aap chahe toh aap bhi youtube par video upload karne bahut acchi income kar sakte hain aur bahut famous bhi ho sakte hain.

Toh chaliye ab hum Youtube se paise kamane ki full guide step by step seekhte hain-

Step 1-Create Your Youtube Channel 

Doston youtube se paise kamane ki sabse pahli kadi yahi hai kyunki agar aap youtube se paise kamana chahte hain toh sabse pahle aapko apna ek youtube channel banana hoga uske baad hi aap uspar video upload karke paise kama paoge toh chaliye pahle me aapko ye bata deta hun ki youtube par channel kaise banate hain.

Agar aap youtube par apna khud ka channel banana chahte hain toh uske liye aapke paas ek sirf ek gmail id honi chahiye baaki aap meri di gayi jankaari ke hisaab se bahut hi easily youtube channel bana loge – Youtube Channel Kaise Banate Hain.

Itna yaad rahe ki jis time aap apna youtube channel bana rahe ho us time koi accha sa naam sonch le jo aapki daali jaane waali videos se related ho ya aapke channel se related ho.

Read Also – 1000+ Dekh Pagli Attitude Status For Facebook and Whatsapp

Step 2-Create Videos

Aapne jis topic par channel banaya hai us topic par hi aap videos banaye agar aap sonch rahe hain ki kahin se download karke videos upload kar le toh ye bilkul galat hai aisa karne se youtube aapka channel banned kar dega isliye youtube par hamesha apni banayi hui videos hi upload kare.

Isliye sabse pahle aap koi acchi quality ki video banaiyye ko aapke channel ke topic par hona chahiye yaad rahe koi bhi video upload karne ke baad apni yahi koshish rakhe ki agli video usse acchi ho isse log aapke channel ko jyada pasand karenge har ek famous youtuber yahi karta hai.

Read Also – Mobile Se Apne Bank Account Ka Balance Kaise Check Kare

Step 3-Upload Video On Youtube Channel

Doston jab aapki video bankar ready ho jaaye uske baad aap usko apne youtube channel par upload kar lijiye chaliye jaante hain sabse pahle aap youtube par jaaye uske baad apne channel me jaaye wahan par aapko ek option dikhayi dega video upload karne ka uspar click kare aur apni video ko upload kar de.

Video upload karne se pahle ye settings kar le-

  1. Video ko upload karte time usme aise content daale jo log jyada search karte ho aur high quality ke ho.
  2. Video ki quality bhi high honi chahiye taaki log video ko sahi se dekh paaye.
  3. Aapki video jis topic par hai video ke saath us topic ke keywords bhi share kare taaki log samajh sake ki ye video kaisi hai.
  4. Agar aap apne channel ko success karna chahte hain toh uspar daily new se new video upload kare isse log aapke channel par daily aana pasand karenge.

Read Also – Apne Phone Ki Battery Ki Power Kaise Badhaye

Step 4-Increase Audience

Doston youtube par video upload karna toh bahut hi easy hai lekin unpar views laana bahut hard hai so pahle aap apne channel ke subscribers badhaye kyunki jab tak aapke channel par subscribers nahin honge tab tak aapki videos par jyada views nahin aayenge aur agar views nahin aaye toh aapko income nahin hogi so agar aapko income karni hai toh aapko apne channel par audience laana honge.

  1. Apne channel ke subscribers badhana koi hard work nahin hai agar aapki video acchi hogi toh automatically aapke channel ko log subscribe karne lagenge.
  2. Video ke last me apne channel ko subscribe karne ko kahe isse agar logon ko aapka channel accha lagega toh woh usko jaroor subscribe karenge.

Step 5-Monetization

Doston aapne apne youtube channel par jo videos upload ki hain unse paise kamane ke liye aapko unhe monetize karne ki jaroorat padhegi jiske liye aapko Google adsense par account banana padhega ek baar jo aapne apne channel ki videos ko monetize kar diya toh samajh lijiye ki aapki income start ho gayi.

Monetize kaise kare-

  1. Sabse pahle aap Youtube par jaakar My channel par click kare.
  2. Wahan par aapko Video manager likha hua dikhayi dega uspar click kare.
  3. Ab wahan par aap channel par click kariye aur monetize par click karke moetize kar lijiye.

Bas itna sab kuch karne ke baad aapki income start ho jaayegi bas aapko unpar views laane hain aur views laane ke liye aap apni videos ko social sites par share kare aur apne channel ke subscribers badhaye jab aapki 1 videos par upload karne ke 1 ghante ke ander 10000 views aane lagenge tab aapko youtube par bahut hi acchi income hone lagegi.

Toh doston kaisa laga aapko ye article waise jahan tak mujhe ummid hai acchi laga hoga kyunki isme maine step by step bataya hai ki youtube se earning kaise ki jaaye.

Plz post ko share jaroor kare.

hindimegyaan

2 thoughts on “Youtube Se Paise Kaise Kamaye Jaane In 5 Steps Me”

Leave a Comment