Hello friends agar aapka blog hai ya aap ek blogger hai toh aapko ye toh maloom hoga ki blog par traffic hona aapke liye kitna maayne rakhta hai aapka blog dekhne me chahe kitna bhi accha aur unique ho lekin agar uspar traffic nahin hoga toh samajh lijiye ki woh kisi kaam ka nahin kyunki agar aapke blog par traffic nahin hoga toh aapka usse koi fayda nahin.
Agar aapka bhi blog hai jo dekhne me toh kaafi accha hai lekin uspar ek bhi visitor nahin toh aajki ye post padhke aap samajh jaoge ki kisi bhi website ya blog par traffic kaise badhate hain.
Blog(Website) Ka Traffic Increase Karne Ke 5 Tareeke
Doston aaj me aapko 5 tareeke batane wala hun jinse aap apne blog ko success ki aur le ja sakte ho toh chaliye jaante hain-
- Write Original And High Quality Contents
- Share On Social Media Sites
- Guest Post
- Comment On Other Blogs
- Sharm On Form
Toh doston ye 5 tareeke hain apne blog ka traffic badhane ke aaiyye me aapko details me ek-ek karke sab samjhata hun.
1.Write Original And High Quality Content
Doston agar aapko apne blog ka traffic increase karna hai toh ye point aapke liye sabse maine hai kyunki agar aap apne blog par new content upload karoge jisse logon ki help ho aur jo kisi dusre blog se copy na kiya gaya ho toh aapke blog par automatically traffic aane lagega aapki post 1st rank par show hone lagengi.
2.Share On Social Media
Doston ye toh aapko pata hi hoga ki social media sites facebook, twitter, Google+, Pinterest ye sabhi cheejen kitni important hai kisi bhi cheej ko logon tak failane ke liye. Mujhe pakka yakeen hai ki aap jitne bhi internet users ho sabhi ka account sabhi social network par jaroor hoga.
Toh doston agar aap chahte hain ki aapko social sites se bhi traffic mile toh aap in sabhi par account banaye aur apne blog par jab bhi koi new post publish kare toh usko sabhi social sites par bhi share kare isse woh log bhi aapke blog par jaroor visit karenge aur aapke blog ki rank increase hogi.
3.Guest Post Kare
Doston traffic increase karne ka ye bhi bahut hi badhiya tareeka hai karna ye hoga ki jo bhi hamara blog hai usse related internet par jitne bhi acchi rank waale blogs hain hume unpar post publish karni hogi jo us blog par na ho.
Doston guest post ka matlab ye hota hai ki hume kisi ek blog jo acchi rank wala hai uspar post publish karna hai jisme hamara naam aur hamare blog ka naam diya jaayega jisse users ko ye maloom hoga ki ye post is bande ne type ki hai aur iske blog ka link ye hai toh agar visitors ko woh post pasand aayi toh woh aapke blog par jaroor visit karenge isse aapke blog ke users bhi increase honge aur aapka blog rank bhi accha karega.
Agar aap HindiMeGyaan par Guest Post Karna chahte hain toh mujhse Facebook par contact kare – Click here
4.Comment On Other Blogs
Jab bhi aap kisi dusre ke blog par post read karte ho toh uske last me aapko ye jaroor batana chahiye ki aapko woh post kaisi lagi aisa karne se aapka us blogger se relation banega aur agar aap kisi bhi post ko acche se read karoge toh aapko pata chal jaayega ki post kis tareeke se likhna chahiye bolne ka tareeka bhi aa jaayega.
Jab bhi koi aapka comment read karega toh woh aapke blog par bhi visit kar sakta hai aur agar koi other blog se aapke blog par visit karega toh aapko backlinks milega jo ki site ko rank karane me bahut important hota hai.
5.Share On Form
Agar aap apne blog ko success karna chahte ho toh aapke blog par ek form hona bahut jaroori hai jispar log aapse question pooch sake aur aap unke jawab de sake.
Maan lijiye ki koi aapse koi question pooch raha hai aur us question ka answer aapki kisi post me hai toh aap us post ka link usko send kar sakte hain jisse uska answer bhi pahunch jaayega aur aapki site value bhi badhegi.
Toh doston agar aapko ye post acchi lage toh plz share jaroor kare.
Comment me bataye ki aapko ye post kaisi lagi
Agar koi question hai toh comment me bataye hum aapke question ka answer ek post likhkar agle din hi denge.
Also Read This
Thank you for this help
I just started and this will sure help to me.
Thanks for comment keep visit
bahut he badiya article likha hai apne.
Thanks and keep visit
Nice article bro.
thanks and keep visit
Bahut aacha article hai bro. Keep updating taki hume aur cheeze seekhne ko mile
Thanks for comment keep visit
Bro Apki Post bahut achchi thi. mujhe ek help ki jarurat hai mene abhi ek naya blog bnaya hai jiska URL – http://knowledgeadda247.com/ hai ko FB ne URL block kr diya hai ise Unblock kese kra skte hain.