Off Page Seo Kya Hai ? Isse Blog Ki Traffic Kaise Badhaye

Apni pichli post me maine aapko bataya tha ki On Page Seo kaise karte hain aur aaj me aapko batane wala hun ki off page seo kaise karte hain.Aap sab bloggers ye baat toh jaante hi hoge ki jaise kuch bhi khareedne ke liye paise ki zaroorat padhti hai waise hi blog par traffic laane ke liye Seo bahut Important hai.aaj me aapko isi baare me batane wala hun.Kuch blogger aise hote hain Search engine ko apne blog ko proper optimize nahin kar paate jiski wajah se unke blog ko search engine me acchi rank nahin mil paati hai.Yahi wajah hoti hai jisse unke blog Ko Organic traffic bahut low quntity me milta hai.agar aapka blog bhi accha traffic prapt nahin kar paata hai toh aap is post ko padhiye ye aapke liye bahut important hai

all tips in hindi

Kya aap ye sonchte hain ki India me jitne bhi bloggers hai unhone bina hard work kiye apne blog ko success banaya hai toh aap galat sonchte ho kyunki koi bhi aisa work nahin jisme bina mehnat kiye success ho jaayen.Har koi blogger apne blog ko full seo optimize karke ki uspar post daalna shuru karte hain aur post ko bhi full seo friendly likhta hai jiski wajah se hi unka blog Full Search engine optimized hota hai.Kuch log aise hote hain jo apne blog ko bahut jaldi success karna chahte hain jiske liye woh Black hate Seo ka prayog karte hain.agar aap bhi black hat seo ka use karenge toh aapka blog toh Search engine optimized ho jayega lekin aapko Search engine penalty ka saamna karna padega aur Google penalty ko recover karna bahut hi mushkil kaam hai.

What Types Of Seo

Kya aapko pata hai ki Seo 2 types ke hote hain agar aapne ye dono seo kar liye toh samajh lo ki aap blogging me success ho gaye-

1.On Page Seo

2.Off  Page Seo

jabki On page seo ke baare me maine apni pichi post me samjhaya tha toh aap use dekh sakte ho

What Is Off Page Seo

Jab bhi aap apne blog par kisi post ko publish karte ho toh aapko site ki ranking improve karne ke liye kuch seo works karna hota hai jise Off page seo kahte hain for Examplae-Guest Posting,Article Submisssion,Social Networking,Forums,Blog Marketing etc.

Kuch bloggers aise hote hain jo ise ignore kar dete hain jiska main reason ye hota ki unke ander is per awareness kam hoti hai.Off page seo ko serious na lena bahut badi bhool hai kyunki agar aap off page seo nahin karenge toh chahein aap kitni bhi acchi quality contents ki post daal lo lekin aapki post kabhi bhi search engine me good rank par nahin pahunch sakegi

Isliye Agar aap online content optimization ke together offline content optimization legtimate way ko bhi karenge toh aapke blog ko kuch hi days me incredible result milna shuru ho jayega jisse aapke blog par high traffic aane lagega

Also Read–

Off Page Seo Kaise Karte Hain

Off page seo karne ke liye kuch tips hain jo me aaj aap logon ke saath share karne wala hun

Apne Blog Ko Blog Directory Me Submit Kare

Internet par bahut hi quntity me Blog Directory sites hain Jinpar blog ko submit karne se aapke blog ke Off page seo ko bahut hi accha profit milega lekin har sites sab bloggers ke liye acchi nahin hai kyunki jyada quantity me toh sirf english blog directory hi hain internet par isliye agar aap aone blog ko submit kare toh sirt hinglish ya hindi sites par hi submit kare kyunki ye hindi bloggers ke liye best hain

Maine apne blog ko kuch aisi hi sites par submit kiya hai jo high page authority aur domain authority ki hain toh chaliye me aapko kuch sites bata deta hun jinpar apni sites ko submit karke aap apne blog ko search engine optimizely kar sakte ho

Blog Directory Sites-

Note-Indiblogger ek top blog directory sites hai jispar daily apne new content ko post karne se blog ka traffic bahut jyada increase hota hai
Guest Post Kare
Agar aap blogging me new ho toh aapko other blog par High Quality content ki post karwana chahiye aisa karne se aapke blog ka organic traffic badhega aur visitor ko aapke blog par visit karne ke chance bhi jyada honge aur aapke blog ke backlink bhi increase honge
Kya aap Guest Post karne ke liye ready hain toh pehle ye jaan lijiye ki Guest post karne ki liye aapko in baaton ka dhyaan rakhna padhega jaise PA/DA aur Spam Score uske baad us blog ke owner se contact kare jispar aap guest post karna chahte ho aur usse done kar le ki agar aap uske blog par Guest post karenge toh pakka hi woh aapko Dofollow Backlink Provide Karega agar na kahe toh aap uske blog par guest post na kare.Aap sirf usi blog par guest post kare jo aapko Dofollow backlink de
Use Question And Answer Sites
Kya aap jaante hain ki 80% blogger aise hain jo question and answer sites ka use nahin karte hain jisse unke blog ka traffic mostly high nahin hota hai
Internet Par Kuch aisi sites hain jinpar aap koi bhi question ask kar sakte ho aur kisi bhi question ka answer de sakte ho agar woh aapki samajh me aata ho toh jaise maan lijiye ki kisi insaan ne koi question poocha toh agar aapne uska answer diya aur usme apne blog ka link add kiya toh woh aapke blog par jaroor aayega isse aapke blog ka traffic bhi highly improve hoga
Toh Chaliye me aapko kuch jyada use hone waali sites ka naam bata deta hun jo aapke blog ke liye helpfull saabit ho sakti hain
 
Link Exchange
Is Method Ka use karne ke liye aapko un blogger se contact karna padega jo blog aapke jaise hi hain matlab aapka blog bhi niche hona chaiye aur unka blog bhi niche hona chahiye.Contact me aap unse ye kahe ki kya aap mere blog ka link apne blog par add karenge badle me mein bhi aapke blog ka link apne blog par add karunga aur hum dono ko ek dusre ka Dofollow Backlink mil jayegi Jisse hamare blog search engine me aur high seo friendly ho jayege
waise hindi blogger ke liye ye kaam asaan nahin hai kyunki har koi aajkal apna hi bhala sonch raha hai isliye kuch hi acche bloggers aise hain jo apne blog par aapki link add kare warna unhe toh aapke blog ko accha dekhkar jalan se mehsoos hoti hai.But,agar aap apne blog ka link mere blog par add karwana chahte ho toh aap mujhse contact kare ya phir facebook par message kare
Use Document Sharing Sites
Ye method bhi bahut hi accha hai blog ka traffic increase karne ke liye jitna mujhe knowledge hai toh jyadar log iska use nahin karte hain lekin meri aapse request hai ki plz iska use kare pehle aap apni post ka pdf file banaye uske baad kisi document share site par visit karke pdf file ko upload kar de isse aapke 2 fayde ho jayege first ye ki aapke blog ko backlink mil jayega aur second ye ki aapke blog ka traffic bhi badhega
Me kuch aisi sites batane wala hun jinka use aap kar sakte hain post ko share karne ke liye-
 
Document Sharing Sites-
Make Your Blog Popular Of Link Baiting
Ye technique Off page seo me link bulid karne ke liye sabse jyada use ki jaati hai ise use karne se aapke blog ko high traffic waale blogs ke backlink prapt honge aur aur aapke Contents ki quality bhi badhegi aur alexa me aapki rank improve hogi jo search engine me aapko acchi rank dilayegi

Isko use karne ke liye ye kiya jaata hai ki jab bhi aap koi post likhe toh usme content se related other high authority blogs ke related post ke link ko add karna padhta hai matlab link prefernce add karna padhta hai.Aisa karna se users ka aap par trust badhega aur search engine visibility bhi improve hogi jisse aapke blog ko organic traffic aayega

Comments Other Blogs for Increase Traffic

Ye toh aap sabhi ko pata hi hoga ki other blogs par comment karne ke bhi bahut saare fayde hain lekin isme bhi kuch bloggers mistake kar dete hain jiski wajah se unki comments delete kar di jaati hai jaise kuch log new post padhne ke baad comment me ye likhte hain (nice,awesome,good etc.) lekin aapko pata nahin ki aisi comment karne se koi fayda nahin hai kyunki ye comment delete kar di jaati hain aur agar delete na bhi kare toh bhi koi bhi visitor aapke blog par aane me interest nahin lega isliye meri raay me agar aap comment kare toh lagbhag 50 words me kare aur accha question kare taaki logon ko aap par interest ho

Comments karne se aapko blog ko bahut hi accha traffic milega aur aapka blog search engine me bhi acchi rank par aayega.Comments karne se aapke blog ko jyada se jyada backlink milenge jisse aapka blog success ho sakta hai

Also Read–

 

Share Video To Video Share Sites And Increase Traffic

Video share karne se blog ka traffic bahut hi jaldi se improve hota hai kyunki aajkal log video sharing sites par jyada waqt bitaate hain isliye agar aap apne blog ke baare me ek khoobsurat video banakar youtube ya kisi other sites par upload karenge toh aap logon ko aapke blog par aane ka man zaroor karega aur agar koi aapke blog par aayega toh aapko uska backlink zaroor milega isse aapka blog search engine me aacha rahega

me aapko kuch sites bata deta hun jinpar video upload karke aapka blog accha traffic prapt karega

Top Video Sharing Sites-

  • Youtube
  • Daily Motion
  • Vimeo
  • Vine
  • Facebook
Share Your Post To Social Media Sites
Google ke baad agar sabse jyada traffic social sites se aata hai kyunki internet par sabse jyada use hoti hain social sites toh agar aapko apna blog par accha organic traffic laana hai toh aapko sab social sites par apne account banana honge kyunki ye bahut important hai
social sites par blog post ko share karne se aapke blog par toh traffic badhega hi saath me aapke blog ki search engine visibility bhi badhegi isliye post ko publish karne ke baad use social sites par dhare jaroor kare.
Chaliye me aapko kuch acchi social sites ke naam bata deta hun
Toh doston ye the off page seo ke tips jinhe agar aap follow karenge toh aapko blogging ki duniya me success hone se koi nahin rok sakta
hindimegyaan

4 thoughts on “Off Page Seo Kya Hai ? Isse Blog Ki Traffic Kaise Badhaye”

  1. अच्छी जानकारी शेयर किया है आपने. ऐसे ही लिखते रहे हैं. गुड लक

    अपने हिन्दी ब्लॉग/वेबसाइट के लिए टॉप 10 हाई क्वालिटी बैकलिंक्स पाएँ

    Reply

Leave a Comment