Jio 4G Sim Ko 3G Phone Me Kaise Chalaye

Hello doston India ke sab states me JIO sim launch ho chuki hai.Mujhe maloom hai ki aap sabhi logon ne Jio 4G sim khareed li hogi.waise toh maine bhi apne naam se ek sim card khareed rakha hai Reliance JIO sim jabse chalu hui hai tabse logon ke ander internet use karne ka jazbaa badh gaya hai kyunki ye bilkul free hai

Jio 4G Sim Ko 3G Phone Me Kaise Chalaye

Reliance JIO sim Aapko unlimited 4g internet,unlimited calls aur unlimited sms ki suvidha 3 months ke liye bilkul free de rahi hai.shuruaat me toh JIO sim 150 rupees me mil rahi thi lekin ab ye bilkul free hai

JIO sim ka fayda(benefits) sirf wohi log utha pa rahe hain jin logon ke paar 4G smartphone hai

Jab JIO sim launch hui thi tab kuch din tak iski seva sirf LYF smartphone me hi available thi lekin lekin kuch din baad ye service sabhi 4G phone ke liye enabled kar di gayi taaki jinke paad aur kisi company ke 4G smartphone hain wo bhi is seva ka laabh utha sake

Sim Lene Ke Liye Kya-Kya Chahiye

  1. Aapke Paas ek 4g Smartphone hona chahiye
  2. Aapke smartphone ka bar code generate karke uski copy hona chahiye
  3. Aadhar card ki copy hona chahiye 

Agar aapke paas 4g smartphone hai toh sabse pehle aap bar code generate kare

Bar code generate karne ke liye sabse pehle aap aapko apne phone me My Jio naam ka app install karna hoga uske liye aap apne phone ke playstore me jaiye aur usme My Jio search kariye aur install kar lijiye

Sim card khareedne ke liye aadhaar card hona bahut zaroori hai

JIO 4G Sim Ko 3G Smarphone Me Chalane Ke Liye Kya-Kya Chahiye

  1. JIO 4g sim activated hona chahiye
  2. Ek 3g smartphone jiska processor(Mediatek chipset processor ya Qualcomm chipset processor) hona chahiye

JIO ka 4g sim card jo aap pehle use kar chuke ho matlab jo activated ho aur aapke paas ek smartphone hona chahiye jiska processor Mediatek chipse ho ya phir Qualcomm chipset ho. 

JIO 4G Sim Ko 3G Phone Me Kaise Manage Kare

Device 1 – Mediatek Processor Ke liye

1.Sabse pehle aap apne smarphone me MTK Engineering Mode App download karke Install kariye

2.App install hone ke baad usko open kariye aur setting me jaiyye

3.Setting me jaane ke baad WCDMA/GSM select karke save kar dijiye
In sab steps ko poora karne ke baad aapka smartphone khud hi aapki JIO sim ko 3G support bana dega lekin Friends aap ye baat yaad rakhiye ki agar aapke phone ka processor Mediatek ya Qualcomm nahin hua toh aapke phone me ye trick kaam nahin karegi

Device 2 – Qualcomm Preocessor Ke Liye

1.first aap apne playstore me jaakar Shortcut Master (Lite) naam ki app apne phone me install kariye

2.Install hone ke baad use open karke Menu par click kariye

3.Menu me jaakar aapke saamne service menu ya phir engineering mode dikhai dega uspar click kare

4.Ab system app me jaiye aur deep search kariye

5.Deep search karne ke baad network ko LTE mode me select kar dijiye

6.Ab apne phone ko reboot(restart) kar dijiye

Ye sab steps poori karne ke baad aapke 3G phone me 4G sim chalne lagegi aap uska laabh utha sakte ho.

mujhe ummeed hai ki aapko meri post pasand aayegi post ko share zaroor kare isse aapke doston ko bhi help milegi aur agar koi pareshani ho toh comment me pooch sakte ho

hindimegyaan

Leave a Comment