Bahut se blogger apne blog par traffic laane ke liye illegal way ka use karte hain par unhe is baat ka maloom nahin ki illegal tareeke se koi bhi kaam karo toh woh shuruaat me accha lagta hai naad me uska end hokar hi rahta hai.Black hat seo bhi kuch isi tarah hai matlab iske jariye aap apne blog par illegal tareeke se traffic la sakte hain par ye aapke aur aapke blog ki sehat ke liye bahut haanikarak hoga isliye agar aap is way se apne blog ka traffic increase karna chahte ho toh plz rukiye aur pahle mere bataye huye is article ko poora padhiye.
Agar aapka blogging me apna career banana hai toh aapko legal tareeke se traffic increase karna hoga tab hi aap blogging me successfull ho payenge barna aap chahe kitna bhi illegal work kar lijiye ek din aapko pachtaana hi padhega.Aaj me aap logon ko 2 tarah ke seo ke baare me batane wala hun pahle hai illegal jiska naam hai Black hat seo aur dusra white hat seo jo bilkul legal hai toh chaliye pahle me aapko ye bata deta hun ki Black hat seo me aur White hat seo me kya fark hai.
Ye Bhi Pade—
Mobile Number Kis Naam Se Hai Kaise Jaane
Pendrive Ko Bootable Kaise Banate Hain
Black Hat Seo Aur White Hat Seo Me Kya Difference Hai
Seo two types ke hote hain aap donon tareekon se apne blog ko search engine optimization kar sakte hain lekin unme se ek tareeka legal hai aur dusra illegal.Google search engine ko sirf legal kaam pasand hai woh illegal kaam ko bahut hi jald remove kar deta hai isliye apne dimaag me ye sonch na rakhe ki aapko jaldi apne blog par traffic increase karna hai balki legal tareeke se dheere dheere traffic khud hi increase hone lagega.
Difference In White Hat Seo And Black Hat Seo
White Hat Seo – Apne blog ya website ko legal tareeke se search engine optimize karne ko White Hat Seo kahte hain.White hai seo ko google ke dwara recommend kiya gaya hai agar aap legal tareeke ka use karoge toh blogging me aap apna career bana sakte ho.
Black Hat Seo – Apne blog ya website ko illegal tareeke se optimize karne ko Black Hat Seo kahte hain par ek baat yaad rakhiye ki agar aap is way ka use karoge toh aap ek din bahut pachtaoge kyunki ye ek sort term wala seo hai jo jyada din tak work nahin karta hai.Black hat seo se blog par kam days me bahut jyada traffic la sakte hain lekin bahut hi jald woh traffic bekaar ho jaayega jo aapke kisi kaam ka nahin rahega aur aapke blog ko search engine bhi ignore kar dega.
Waise dono tareeko se aap traffic badha sakte hain lekin Black hat seo traffic bahut hi fast increase hota hai par ye aapke blog ko bahut hi jald bekaar kar dega isliye aap iske baare me na jaane toh hi accha hai par phir bhi me aapko logon ke saath donon tarah ke seo ke baare me full information share karunga.
Ye Bhi Pade–
Smartphone Ko Root Kaise Kare
Bank Ke IFSC Code Ke Baare Me Kaise Jaane
What Is Black Hat Seo
Black hat seo ka second name hai cheater seo kyunki isme search engine ko cheat karke traffic increase kiya jaata hai is seo ka aaj bhi bahut se bloggers use kar rahe hain par bahut hi savdhaani se isse aap bahut hi fastly apne blog ka traffic increase kar sakte ho.Black hat seo se blog ko optimize karna search engine ko bilkul pasand nahin isliye woh aapke blog ko ignore kar deta hai.
Black Hat Seo Me Kiye Jaane Waale Kaam
- Same keywords ka baar-baar use karna
- Site par bad link ka use karna
- Website ko baar-baar optimize karna
- Kuch aisi cheejen jo visitor ko dikhai na de unka use karna illegal kahlaata hai aur black hat seo ka har kaam illegal hai
- Titel me kuch aur hona aur post body me koi aur article
- Blog Post ke title me jo keyword hon uske adhar par hi post ke article likhe.
- 1 keywords ka kayi jagah use na kare
- Blog par jyada optimization na kare
- bad links ka use na kare
- Kuch bhi aisa hidden text na daale jo visitors ko na dikhe
- Kisi bhi site se apne blog ke liye traffic ko na khareede.
1.Thank you for BEST post likhi hai.
2. Aapne website ke liye Template use kiya uska name kiya hai
Bro.. Bad link ka matlab???
Bad link matlab jo bilkul bekaar low quality ke link hote hain
how? can i become a SEO Expert
bro is baare me jaanne ke liye aap hamari seo se related sabhi post padhiye
give me some suggestion to became a hacker
hacking ek kanooni apradh hai isliye me aapko is baare me kuch nahin bata sakta sorry