Aaj me aap logon ko batane wala hun computer me google fonts kaise install karte hain aur kaise hum design ko accha banate hain.
Google.com par Google fonts host hai.Aap jis siye par Google fonts install karna chahte ho uspar aapko kuch line ki Css coding aur Html code ka use karna hoga.Google aapko Open fonts licence ka offer karega lekin aap fonts licence ka prayog kare chaliye me aapko bata deta hun.
Kuc log Google fonts software ko full tareeke se istemaal nahin kar paate hain kyunki Google fonts ke sabhi features ko support nahin karta hai.Me suggest karoonga ki aapke pc me saare fonts hon taaki aap Google fonts ka istemaal acche tareeke se kar sake.
Google par lagbhag 820 font families hain aap kisi bhi font family ka use kar sakte ho waise jyadatar use hone waale font family ye hain – Verdana,Roboto,Open sans,lato etc.
Google Fonts Ko Compter Me Kaise Install Kare
Main aaj aap logon ko 2 example dene wala hun jisse aap css codes ke jariye direct web pages ko design kar sakte hain aur apne computer me bhi google fonts install kar sakte hain.
1.Computer Par Google Fonts Download Kare
Step 1.
Sabse pahle aap apne computer ke liye google fonts download karna hai jo aapko pasand ho.Download karne ke liye yahan click kare
- Sabse pahle aap Directory option par click kare
- Agar aap apne pasand ka fonts search karna chahte ho toh yahan kare
- Categories choose karke fonts search kare
- Sorting me aap date,trending and alphabetical ke jariye fonts ko search kar sakte hain’
- Kis language me fonts use karna chahte ho choose karne ke liye yahan click kare
- Ab aap jis fonts ko install karna chahte ho uske (
+) ke sign par click kariye Ab aapke saamne jo ek option aayega usme aap (-) ke sign par click kariye
- Agar aap apne computer me Google fonts ko install karna chahte ho toh jo download link hai uspar click kare
- Agar apne blog ya website me Google fonts ko use karna hai toh javascript me diye hue code ko apne blog ke template me <head> ya <body> section ke neeche add kare
- Agar aap css code ke jariye apne blog ke fonts ko change karna chahte ho toh css code ko copy karke apne blog me add kare.
- Sabse pahle aap file par click karke dropdown option me Extract here par click kariye
- Ab aap dekh sakte hain aapki font file unzip ho chuki hai
- Apne laptop me Control Panel >>> Appearance and Personalization >>> Fonts par click kare aur jis font ko aap choose karna chahte go uspar click karke show par click kare