Kya aapka Facebook account block ho chuka hai kya aap usko dowara se open karna chahte hain toh aap bilkul sahi post padh rahe hain aaj hum baat karenge ki facebook disabled id ko open kaise karte hain, Doston facebook id block hone ki wajah hum khud hote hain kyunki hum koi aisa kaam kar dete hain jo facebook ke terms & conditions ke khilaaf hota hai yahi reason hota hai jo facebook hamara account block kar deta hai, Aaj hum aapko batayenge ki blocked hue facebook account ko reactivate kaise kare.
Guys waise toh facebook account ko dowara se open karna bahut hi mushkil hai lekin me jo trick aap logon ko batane wala hun agar aap usko sahi se mind me faanskar follow karenge toh aap bahut hi easily apne account ko open kar sakte hain, Doston sabse pahle toh aapko ye jaanna hoga ki facebook account ko disabled kyun karta hai tabhi aap apne account ko open kar paoge isse aapko ye bhi pata chal jaayega ki facebook account ko block ya disabled kyun karta hai.
Aajkal sabhi phone users ka facebook par account jaroor hota hai isliye kisi bhi facebook account ka block, disabled ya lock hona koi jyada badi baat nahin hai lekin apne account ko dowara se recover karne ke liye aapko ye jaanna jaroori hai ki aakhir facebook kisi bhi account ko block, lock ya disabled kyun karta hai aaiyye jaante hain-
Facebook ko croron log use kar rahe hain is wajah se iski security bahut high hai agar koi bhi user facebook ke terms & conditions ko follow nahin karta hai toh uska account disabled kar diya jaata hai jisko woh dowara se recover kar sakta hai lekin uske liye kuch problems aati hai lekin aaj me aapko yahan par bahut hi easy trick batane wala hun jisse aap apne blocked hue facebook account ko reactivate kar sakte hain.
Normally logon ka kisi bhi security reason ki wajah se account block hota rahta hai lekin account block hote hi log new account bana lete hain doston aap apne old facebook account ko dowara se recover kar sakte hain aaj me aap logon ko ye jankari step by step bataunga.
Ye Bhi Pade –
- Android Apps Banakar Usse Online Paise Kaise Kamaye
- AdsOptimal Se Paise Kaise Kamaye
- 5 Best Money Transfer Apps For Android Mobile
Aaiyye pahle jaante hain ki facebook account block kyun hota hai iske kya-kya reason hote hain taaki aap wahi galti dowara na kare-
Table Of Contents
Facebook Account Block Hone Ke Reason
- Facebook par stylish font me id ka hona bhi block hone ka reason hota hai.
- Facebook par bahut se aise links hote hain jo spam hote hain usko share karne se bhi aapka facebook account block ho jaata hai.
- Facebook par kabhi bhi jyada groups aur pages ko like na kare isse bhi account block ho jaata hai.
- Facebook aap logon ko warning deta rahta hai jab bhi koi warning mile usko avoid na kare isse bhi account block ho sakta hai.
- Facebook id par real name hona bhi bahut jaroori hai warna aapka account block ho sakta hai.
- Agar aap jyada logon ko like, comments aur share karenge tab bhi aapka account block ho sakta hai.
- Kabhi bhi apne facebook timeline par jyada links share na kare isse bhi account block ho jaata hai.
- Proxy, VPN Server jyada mobile phones me ek saath ek hi account ko login karne se bhi account block ho sakta hai.
- Jab bhi aap facebook par koi nude, sexy material share karte hain toh log usko report kar dete hain jiski wajah se bhi aapka account block ho sakta hai.
- Facebook par kisi ko bhi bad, sexual comments karne par bhi account block ho jaata hai.
- Facebook par jyada friend request bhejne ya phir jyada logon ko poke karne par bhi account block ho jaata hai.
Toh doston upar maine jo terms & condition batayi agar aap unko sahi se follow karenge toh aapka facebook account kabhi block nahin hoga agar phir bhi aapka account kisi wajah se block ho jaaye toh aap neeche di gayi simple steps ko follow karke apne account ko recover kar sakte hain.
Facebook account ko block hone par aap facebook help center par contact karke apne account ko open karwa sakte hain aur agar aapka account active hai toh aap uski security badhane ke liye usko verify kar sakte hain.
Aaiye jaante hain ki blocked hue facebook account ko dowara se open kaise kare.
Facebook Disabled Account Ko Recover(Open) Kaise Kare
Aap jab bhi apne facebook account me login kar rahe toh ye likh kar aa raha hai ki Your account has been disabled toh samajh lo aapka account block ho chuka hai ab aap usko dowara se recover kar sakte hain aaj me aapko 2018 ki new trick batane wala hun aaiyye jaante hain.
Doston facebook account ko recover karna bahut hi hard hai lekin me aapko bahut hi acche se guide karunga jisse aap apne facebook account ko carefully open kar sakte hain.
Step 1.Sabse pahle toh aap ye confirm kar le ki aapka account disabled hua hai ya nahin uske liye aap apne facebook account me login kare agar aapke saamne neeche diye gaye image ke jaisa aaya toh confirm aapka account disabled ho chuka hai.
Step 2.Me aapko pahle ki bata chuka hun ki facebook account ko open karne ke liye aapko help center me ek appeal karni hogi appeal form submit karne ke liye aap neeche diye gaye appeal form ke link par click kare.
Step 3. Ab aapke saamne ek form aayega usme aapko apne facebook account ki details fill karna hai neeche details me bataya gaya hai aaiyye jaante hain kaise fill kare.
- Login email address or mobile phone number – Yahan par aapko apna woh phone number ya email address daalna hai jisse aapka blocked hoya hua account bana hua tha.
- Your Full Name – Isme aapko apna facebook Id ka full name daalna hai.
- Your ID(s) – Yahan par aapko apne Goverment issued id card ki copy file upload karni hai.
- Additional Info – Yahan par aapko batana hai ki ye aapka hi account hai.
Step 5. Sab kuch fill karne ke baad aapko Send par click karna hai.
Note – Jab aap send par click kar denge toh facebook aapke id card ka naam aur Date of birth check karega aur yaad rahe aapke id card par jo photo ho woh clear show hoti ho send karne ke 1 ya 2 din baad aapko ek mail milega usse pata chal jaayega ki aapka account enabled hua ya nahin.
Read Also –
- Kisi Ka Bhi Wi Fi Password Hack Kaise Kare
- Quora Se Website Ka Traffic Kaise Increase Kare
- Free HD Movies Download Karne Ki Top 5 Websites
Toh doston meri is batayi hui trick ke jariye aap apne disabled hue facebook account ko enabled ya open kar sakte hain agar aapka is trick se juda hua koi bhi question hai toh aap comment me bata sakte hain me aapka jawab jaroor doonga.
Thanks for read
Hello My Facebook Account bisabled account please opne
aap humse contact karke hame detail de dijiye