Hello Friends facebook ek aisi Social media site hai jispar aap apne new friends bana sakte ho aur apne kisi bhi bussiness ko popular kar sakte ho.Aaj me aap logon ko batane wala hun ki agar aapke facebook par bahut friend ho chuke hain aur aap unko unfriend karna chahte hain toh kaise kare.
Doston facebook par friends ko unfriend karne ki jaroorat tab padhti hai jab aap kisi apne jaan pahchaan waale ko request send nahin kar paate hain tab aap old friends ko unfriend karke new request send kar sakte hain lekin jyadatar log is trick kar use isliye karte hain taaki woh sirf apne jaan pahchaan waale logon ke saath jude.
Toh doston chaliye ab hum jaante hain ki facebook par ek saath sabhi friends ko unfriend kaise karte hain.
Facebook Ke Sabhi Friends Ko Ek Saath Unfriend Kaise Kare
Doston Facebook friends ko unfriend karne ke liye aapko apne chrome browser me Facebook Friend Remover naam ka ek extension lagana hoga.
Toh chaliye step by step follow karte hain.
1.Sabse pahle aap apne Facebook account me login kariye.
2.Ab aap neeche diye gaye link par click karke apne chrome browser me Facebook friend remover extension add kar lijiye.



