WordPress Blog Post Me Table Of Contents Add Kaise Kare
Hello Doston Aajke is article me hum aapko batane waale hain ki WordPress Blog me Table of contents kaise add karte hain aur iske kya fayde hain. aksar jab hum kisi ke blog par koi Long article padhte hain aur agar us post me table of contents add nahin hota hai tab hum us post ko padhte – padhte thak jaate hain aur webpage se bahar nikal aate hain jisse us Blog ka Bounce rate increase hota hai aur uski Rank down hoti rahti hai.
Me khud is baat ko maanta hun ki mujhe jis website par article padhne me asani hoti hai me usi website ke article padhta hun isliye apne hisaab se sonchta hun ki har user yahi chahta hoga. Doston Table of contents ek aisa tool hai jiski madad se post ko sirf ek table me samjha ja sakta hai ki is post ke andar kya – kya jankari di gayi hain.
Read Also – Mobile se paise kamane waale 5 best apps
Table Of Contents
What Is Table Of Contents
Table Of Contents Kya Hai – TOC ki madad se Long article padhne me bahut help milti hai kyunki iske jariye hum ye pata laga sakte hain ki is article me kya – kya jankari provide ki gayi hain jisse hum direct Jump karke main topic par pahunch sakte hain.
Table of contents post aur pages ke structure ko naap kar uske sabhi headings jaise H1, H2, H3, H4, H5 ke Link bana deta hain jisse users direct important headings par jump kar sakte hain.
Table Of Contents Use Karne Ke Fayde
Doston Table of contents use karne ke bahut se fayde hain chaliye me aapko number by number TOC istemal karne ke fayde batata hun.
- Table of contents add karne se Blog post search engine me Top Rank par aati hai kyunki iske jariye Google asani se aapki poori post ko samajh leta hai.
- Users ko article padhne me asani hoti hai.
- Blog ka SEO better rahta hai.
- Bounce rate kam hota hai jisse Blog Rank acchi hoti hai.
- User Experiance badhta hai.
- Search Engine Visibility increase hoti hai.
- Table of contents ke jump link Google search me show hote hain.
- Blog ka SEO improve hota hai.
- TOC ke jariye direct kisi bhi heading par jump kiya ja sakta hai.
- Blog dekhne me professional lagta hai.
Chaliye doston ab jyada der na karte hue seedhe main topic par aate hain aur aapko batate hain ki Blog me Table of contents kaise add karte hain.
Ye Jaroor Padhe >>
- Computer Course list in hindi
- Hindi aur english me voice typing kaise kare
- Facebook par khud ko unblock kaise kare
- Abhinay sharma Maths pdf download
WordPress Blog Post Me Table Of Contents Add Kaise Kare
Doston WordPress blog me table of contents add karne ke 2 tareeke hain chaliye jaante hain.
- Manually
- Automatically
1.Manually Table of Contents Kaise Add Karte Hain
Doston is type ke Table of contents add karne ke liye aapko Web Programming ke baare me jankari hona bahut jaroori hai ki ye table sirf html, csc aur javascript ki madad se banaya jaata hai aur isme bahut samay lagta hai isliye me aapko suggest karunga ki aap Automatically Table of contents apne wordpress blog me use kare.
Chaliye jaante hain ki Automatically Table of contents kaise add karte hain.
2.Automatically Table Of Contents Kaise Add Karte Hain
Is type ke table of contents aap asani se apne blog par use kar sakte hain isme aapko sirf apne blog me ek Plugin install karna hota hai uske baad usko setup karna hota hai phir aapke blog ki sabhi post me automatically table of contents show hone lagta hai aiye aapko step by step is baare me jankari provide karte hain.
Step 1. Sabse pahle aap apne WordPress Blog me Table Of Contents Plus naam ka plugin Install & Activate kare jaisa ki aap neeche diye gaye image me dekh sakte hain.
Step 2. Plugin Activate karne ke baad ab bas aapko usko setup karna hai chaliye vistaar se jaante hain ki Table of contents plus plugin ko setup kaise kare.
- Sabse pahle aap Settings par click karke TOC+ Plugin par jaiyye.
- Ab aapke saamne TOC+ ka poora interface aa jaayega ab aapko usko setup karna hai chaliye me aapko details me batata hun.
- Position – Yahan par aapko ye choose karna hai ki aap Table of contents ko kis jagah par show karna chahte ho mere hisaab se isme aap Before first heading (default) hi rahne de.
- Show When – Isme aap ye choose kar sakte hain ki kitne headings waali post me table of contents show karana chahte ho.
- Auto insert for the following content types – Yahan par aap ye select kar le ki aap table of contents post par show karna chahte ho ya aur kahin.
- Heading Text – Isme aap table of contents kis naam se show karna chahte ho woh daale.
- Show Hierarchy – Isko aise hi rahne de.
- Number List item – ispar tick kar de.Enable smooth scroll effect – isko bhi aise hi rahne de.
- Width – Isko Auto(default) rahne de.
- Wrapping – Isko Nono(default) kar de.
- Font size – Mere hisaab se ye 100% sahi rahega.
- Presentesion – yahan par aap colour choose kare ki aap kis colour ka table of contents show karana chahte ho.
- Ab aap update option par click kare.
Bas itni sab settings karne ke baad ab aap apne blog ki koi bhi ek post open karke check kar sakte hain aapki sabhi post me automatically table of contents show hone laga hoga.
Read Also >>
- WordPress Blog Me Google Analytics Code Add Kaise kare
- Blog ke liye 3D Logo kaise banaye
- Blogging Me Fail hone ke reasons
- Auto Blogging kya hai aur iske kya fayde hain
- Blogging Karne ke 5 fayde
- Youtube vs Blogging kaun sa platform behtar hai
- Blog ki old post par traffic kaise laaye
- Blog ki traffic kaise badhaye
Conclusion
Aajki is post me aapne seekha ki wordpress blog me table of contents kaise lagate hain. Mujhe poori ummid hai aapko ye post bahut pasand aaya hoga kyunki new bloggers ke liye ye jankari janna bahut jaroori hai.
Agar aapko post accha lage toh neeche comment karke bataye aur is post ko jyada se jyada share kare.
Great
comment karne ke liye shukriya
Nice information for getting top web designing.